Sunday, October 31, 2010

Kinaare


Aankhein band karke nazaare dekha karta hu,
Samander ke beech se kinaare dekha karta hu,
Dil se lahoo aankhon se aansu tapakte hain,
Fir bhi khwab sirf tumhare dekha karta hu.

Hamare sawalon ka zawab tum de na sake,
Aur khokar bhi hum tumhe kho na sake,
Mehfilon me muskurana padta hai hamein,
Dil kholkar hum kabhi ro na sake,
Din me bhi aasmaan ke sitare dekha karta hu,
Samander ke beech se kinaare dekha karta hu.

Maana ki har khwahish puri nahi hoti,
Per har khwahish bhi to adhuri nahi hoti,
Agar paas aate na itne hum aur tum,
Darmiyan aaj itni doorie nahi hoti,
Apne dil me jhaank kar daraarein dekha karta hu,
Samander ke beech se kinaare dekha karta hu.